Kya Din The Woh Lyrics | Emiway Bantai - lyricsnow99

Kya Din The Woh Lyrics | Emiway Bantai

Kya Din The Woh Lyrics is a latest song of Emiway Bantai from the Album King of the streets. This song is sung & written by Emiway Bantai himself while music is produced by Robert Tar.

Kya Din The Woh Lyrics Emiway Bantai

Singer Emiway Bantai
Music Robert Tar
Song Writer Emiway Bantai

Lyrics

Kuch Shot Huye The Pehle Ke
Woh Sab Bata Rela Hun
Maza Aa Rela Public Ko Sunne Ke Liye
To Apun Bhi Soche Suna Deve Kya
Suno,

Haan Gao Ke Train Me Safar Kara
Bathroom Ke Paas So Ke
Paani Ke Chhentein Udte The
Log Jaate Haath Dho Ke

Phir Hum Bhi Kahan Mauke Chhodte
Fir Seedha Kya Bhid Jaate The
Woh Bhi Kya Din The
Chalu Ticket Pe Chadh Jaate The,

TC Jis Dabbe Mein Chadhta
Us Dabbe Se Watt Jaate The
Ghar Se Laay Dabba
Newspaper Pe Baith Ke Khaate The

Sunn Mein Koyi Pee Rela Quarter
Koyi Khele Jua
Bantai Log Darwaze Pe
Haan Uda Rahe Dhuan,

Fir Kya Kiisse Dost Kisse Lafda
Safar Yun Hi Kat Jaata Tha
Aaj Udd Raha First Class Beta
Train Mein Main Bhi Jaata Tha

Sab Cheezon Ke Maze Le Beta
Chhod De Rona Dhona
Darwaze Pe Soya Dekh Ke
Fan Pucche Tum Bantai Ho Naa,

Kya Din The Woh Beta
Main Safar Nahi Suffer Karne Aaya Hoon
(Suffer Karne Aaya Hoon)
Ye Sab Dekhela Life Mein Main
Tab Jaake Yahan Tak Ke Aaya Hoon
(Yahan Tak Ke Aaya Hoon) Yo

Kya Din The Woh Beta
Main Safar Nahi Suffer Karne Aaya Hoon Ya Ya
Ye Sab Dekhela Life Mein Main
Tab Jaake Yahan Tak Ke Aaya Hoon
Aur Boht Aage Jaana Hai,

Haan Area Mein Main Akela Tha
Jisko Milne Laga Fame
Jalti Unki Soch Ke Unki Life
Kyon Nahi Mujhse Same

Mujhse Bhidne Aate Saale
Bina Matlab Matter Karne
Mitna Rehta Saath
Hum Dono Jaate The
Battle Karne Rap Nahi,
Steet Mein Fight Karne,

20 Log Aaye The Saale Saare
Woh Mujhko Bharne Maara Mujhko
Chair Toda Mere Peeth Pe
Sukriya Un Logon Ko Aaj Kahani Ye Be
Kehne Mujhe Beat Pe

Jo Bhi Main Tha Jisne Maara
Usko Maara Usko Dhar Liya
Shot Diya Bheje Pe Haan
Uss Din Se Woh Sudhar Gaya
Aise Kaafi Matter Kabhi Diya Kabhi Khaya
Alter Hoon Main Itna Kaise Area Ne Banaya,

Kya Din The Woh Beta
Main Safar Nahi Suffer Karne Aaya Hoon
(Suffer Karne Aaya Hoon)
Ye Sab Dekhela Life Mein Main
Tab Jaake Yahan Tak Ke Aaya Hoon
(Yahan Tak Ke Aaya Hoon) Yo

Kya Din The Woh Beta
Main Safar Nahi Suffer
Karne Aaya Hoon Ya Ya
Ye Sab Dekhela Life Mein Main
Tab Jaake Yahan Tak Ke Aaya Hoon
Aur Boht Aage Jaana Hai,

Haan Shoot Ke Baad Keema Pao
Dharavi Bismillah Pe
Scotty Pe Poora Mumbai Ghooma
Raste Pe Full Chilla Ke

Mujhko Barosa Allah Pe Haan
Tere Bina Sab Khallas Hai
Malum Tha Main Aage Badunga
Ek Din Mere Kalla Se,

Par Maza Kiya Main Bohot
Mere Struggle Days Pe Sacchi Mein
After Party Karke Aa Rahe
So Rahe Saare Gachhi Pe

Dost Yaari Apni Bole
Aiba Bantai Bachhi Se
Kharcha Apna Nikalta
Tha Studio Ke Kharchi Se,

Studio Dala Recording
Aur Mixing Mastering Karta Khud
Customers Ke Kabhi Kabhi
Haan Shoot Bhi Karke Aata Khud

Ghar Ke Hall Mein Neeche
Baith Ke Kaam Seedha 24
500 Waale Home Theater
Pe Gaane Bana Ke Lofi,

Theater Mein Kabhi Maara
Sprey Kabhi Table Chair Uthaya
Jahan Se Mudaal Aa Rahe
The Sab Karke Paisa Banaya

Jo Bhi Manga Bachpan Se
Abba Ne Sab Dilaya
Jiya Raja Jaise Lekin Ab
Kuchh Banne Ka Time Aaya,

Kya Din The Woh Beta
Main Safar Nahi Suffer Karne Aaya Hoon
(Suffer Karne Aaya Hoon)
Ye Sab Dekhela Life Mein Main
Tab Jaake Yahan Tak Ke Aaya Hoon
(Yahan Tak Ke Aaya Hoon) Yo

Kya Din The Woh Beta
Main Safar Nahi Suffer
Karne Aaya Hoon Ya Ya
Ye Sab Dekhela Life Mein Main
Tab Jaake Yahan Tak Ke Aaya Hoon
Abhi Boht Aage Jaana Hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *